Friday, July 01, 2011

Nisar Mai teri Galion Ky (Faiz)


Nisar mein teri galyion ke aye watan ke jahan
chali hai rasm keh koi na sar utha kay chalay
jo koi chahnay wala tawaf ko niklay
nazar chura kay chalay, jism-o-jaan bacha kay chalay
hai ahl-e-dil kay liye ab yeh nazm-e-bast-o-kushaad
ke sang-e-wakhast muqayyad hain aur sag azaad
Bohot hai zulm kay dast-e-bahana joo kay liye
jo chand ahl-e-junoon tera naam lewa hain
banein hain ahl-e-hawas, mudda’ii bhi, munsif bhi
kisay wakeel karein, kisse munsafi chahein
magar guzaarne walon kay din guzartay hain
teray firaaq mein yun subh-o-shaam kartay hain
bujha jo rozan-e-zindaan tu dil yeh samjha hai
keh teri maang sitaaron se bhar gayi hogi
chamak uthay hain salasil tu hum nay jana hai
ke ab sahar tere rukh per bikhar gayi hogi
gharz-e-tasawwar-e-shaam-o-sahar mein jeetay hain
girift-e-saaya-e-deewar-o-dar mein jeetay hain
yunhi hamesha ulajhti rahi hai zulm se khalq
na in ki rasm nayi, na apni reet nayi
yunhi hamesha khilaye hain hum nay aag mein phool
na un ki haar nayi hai na apni jeet nayi
isi sabab say falak ka gila nahin kartay
tere firaaq mein hum dil bura nahin kartay
gar aaj tujh se juda hain tu kal bhem hongay
yeh raat bhar ki judaayi tu koi baat nahin
gar aaj auj pe hai taali’-e-raqqeb tu kia
yeh chaar din ki khudaayi tu koi baat nahin
jo tujh se ehd-e-wafa ustawaar rakhtay hain
ilaaj-e-gardish-e-lail-o-nahar rakhtay hain

No comments:

Post a Comment