Showing posts with label Faiz Ahmed Faiz. Show all posts
Showing posts with label Faiz Ahmed Faiz. Show all posts

Friday, July 01, 2011

Nisar Mai teri Galion Ky (Faiz)


Nisar mein teri galyion ke aye watan ke jahan
chali hai rasm keh koi na sar utha kay chalay
jo koi chahnay wala tawaf ko niklay
nazar chura kay chalay, jism-o-jaan bacha kay chalay
hai ahl-e-dil kay liye ab yeh nazm-e-bast-o-kushaad
ke sang-e-wakhast muqayyad hain aur sag azaad
Bohot hai zulm kay dast-e-bahana joo kay liye
jo chand ahl-e-junoon tera naam lewa hain
banein hain ahl-e-hawas, mudda’ii bhi, munsif bhi
kisay wakeel karein, kisse munsafi chahein
magar guzaarne walon kay din guzartay hain
teray firaaq mein yun subh-o-shaam kartay hain
bujha jo rozan-e-zindaan tu dil yeh samjha hai
keh teri maang sitaaron se bhar gayi hogi
chamak uthay hain salasil tu hum nay jana hai
ke ab sahar tere rukh per bikhar gayi hogi
gharz-e-tasawwar-e-shaam-o-sahar mein jeetay hain
girift-e-saaya-e-deewar-o-dar mein jeetay hain
yunhi hamesha ulajhti rahi hai zulm se khalq
na in ki rasm nayi, na apni reet nayi
yunhi hamesha khilaye hain hum nay aag mein phool
na un ki haar nayi hai na apni jeet nayi
isi sabab say falak ka gila nahin kartay
tere firaaq mein hum dil bura nahin kartay
gar aaj tujh se juda hain tu kal bhem hongay
yeh raat bhar ki judaayi tu koi baat nahin
gar aaj auj pe hai taali’-e-raqqeb tu kia
yeh chaar din ki khudaayi tu koi baat nahin
jo tujh se ehd-e-wafa ustawaar rakhtay hain
ilaaj-e-gardish-e-lail-o-nahar rakhtay hain

Hum Dekhain gayy (Faiz Ahmed Faiz)



Hum Dekhainge
Lazim Hai Ke Hum Bhi Dekhainge
Hum Dekhainge
Woh Din Ke Jis Ka Wada Hai...hum Dekhainge
Jo Loh-e-azal Pe Likha Hai...hum Dekhiange

Jab Zulm-o-sitam Ke Kooh-e-garan,
Rooyi Ki Tarah U\'dh Jayenge
Hum Mehkoomon Ke Paoon Tale,
Yeh Dharti Gha\'dh Gha\'dh Gha\'dhke Gi
Aur Ahl-e-hakam Ke Saron Per,
Jab Bijli Ka\'dh Ka\'dh Ka\'dhke Gi

Hum Dekhainge
Lazim Hai Ke Hum Bhi Dekhainge
Hum Dekhainge

Jab Arz-e-khuda Ke Kaabe Se,
Sab Butt Uthwaye Jayenge
Hum Ahl-e-safa Mardood-e-haram,
Masnad Pe Bithaaye Jayenge
Sab Taj Uchhale Jayenge,
Sab Takhat Giray Jayenge

Hum Dekhainge
Lazim Hai Ke Hum Bhi Dekhainge
Hum Dekhainge

Bas Naam Rahe Ga Allah Ka
Jo Gayab Bhi Hai Hazir Bhi
Jo Manzar Bhi Hai Nazir Bhi
Uthe Ga Anal Haq Ka Na\'ra
Jo Main Bhi Hoon Aur Tum Bhi Ho
Aur Raaj Kare Gi Khalq-e-khuda
Jo Main Bhi Hoon Aur Tum Bhi Ho

Hum Dekhainge
Lazim Hai Ke Hum Bhi Dekhainge
Hum Dekhainge
Woh Din Ke Jis Ka Wada Hai...hum Dekhainge
Jo Loh-e-azal Pe Likha Hai...hum Dekhiange